Roshnii ud rahi thii sadakon par kandilon se tangii huyi ..
kaarwaan badh raha tha azal se azal tak,
thake huye qadam the shayad
shukr hai ki girne se pehle hi tere Deed ke Saray aaye ..
beete jo lamhe to humne jaana firaaq ne kis falak par pahuncha diya,
apni turbat ko nasseb mitti par jo tere lams mile the shayad,
zinda hun teri ummeed me, ab to yakin hai zameen pe hii nazar mujhe Arsh aaye ..
ye Nagma mera hai khoobsurat, paak, apne ishq ke maanind
karun ab ibtidaa apna khayal, jehen me jo aaye to bas tera hi khayal aaye
yaa Rab, abke jo palatun apnii saanson ki kitaab ko,
to utre jo lab pe to bas 'Tera' hi qalaam aaye ..
Monday, September 28, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment